how to study smart in hindi
how to study smart in Hindi
How to Study Smart |
Study karte samay apke man me hamesh ye hi rahta hai ki acha perform kis tarah se karna hai. or isi pressure me aakar adhiktar students ke sath ye hota hai ki wo apne percentage of marks kam kar lete hai isi stress ko lekar.
Balki karna hai ye chahiye ki apni study par jyada focus karein jisse apki study me improvement aaye or isi wajah se apke marks bhi improve bhi honge.
Study ko Improve karne ke liye Kuch Rules hai jinko follow karke aap study ko or improve kar payenge.
Rule No. 1 :- Break your Study in chunked session
Study Time ko Session wise divide kar le or jab bhi aap study karte ho . Like agar aap ek ghante se study kar rahe ho to 5 Min ka break le sakte hai. or un 5 Min ko Halki fulki yoga me dekar apne mind ko or stable bana sakte hai. Jisse hoga ye ki, apki study me milen wale is samay se aap thoda stress free bhi feel karenge or Padhai me or bhi man lagne lagega.
Rule No. 2 :- Create a dedicated study area.
Study karne ke liye kabhi bhi apne bed room ko na chune. bed me study karte hue aapko jaldi need aane lag jati hai. or padhai bhi dhang se nahi ho pati hai. Agar aap Study ke liye apna alag seperate room ya hall create karte hai to usse apke study me jyada time de payenge or iska result aap apne exam me dekh payenge. is tarah se kitana farq pada hai.
Rule No. 3:- Summerise and Discuss with others
Sabse jaruri chij ye hai ki jab bhi aap apni study karte hai to usko apne friends, parents and teachers ke sath discuss kare. Is tarah ki activity se apke dwara discuss me aayi chij apko life time tak yada rah jati hai. isse apki memory bhi strong banti hai.
Rule No. 4- Effective Notes
Aap Koi si bhi class me study kar rahe ho. Agar aap Apni study ke samay notes banakar tayyar karte hai, to ye apke liye kafi effective rahta hai. Jisse apke aane wala exams me apko bahut help full hota jab bhi aap apne book me se study karein to chapter ke piche diye hue question ko pahle note kar le. Kynki jab aap study karenge us chapter ki to aap jaan payenge ki kon kon si chije Important hai or Un Important chijo ke easily Notes bhi Tayyar kar Payenge.
Ek Survey ke according pata chala hai ki jo Students Apne Notes Pahle hi banate hai unke success 50 percent badh jati hai.
हमारी कोशिश है कि आप सबसे पहले सबसे सही जानकारी प्रदान कि जायें
No comments: