Govt Jobs Vs Private Jobs
Govt Jobs Vs Private Jobs -
Private Job Vs Govt. Job |
Agar aap bhi apne career ko lekar pareshan hai ki apko apni life me kya karna chahiye. to dosto mai app logo ke samne apke future ki clearance rakh deta hu ki kis job me kitna fayda mil sakta hai. Agar kaha jaye ki Govt Job Vs Private Job me Easily tay kiya ja sakta ki kon sa better hai, to ye bahut hi galat hoga. har ek job ke apne fayde hai or har ek job ke usi tarah se bahut se nuksaan bhi hai.
Kaisi choose karein Apna Career
Kisi bhi field ki job karne se pahle apko ye pata hona bahut jaruri hai ki us job me apka career Kitna lamba chal sakta hai or apni wealth ko kitna increase kar sakte hai. kynki har ek baat apki wealth ke liye hi hoti hai.
Govt Jobs ke fayde
Govt. Job ke bahut se fayde hai. lekin government job paane ke liye apko adhik se adhik mahnat karne ki jarurat hoti hai. Govt jobs me bhi apke pass bahut se aise ache department hai jahan par aap apni yogyta ke anusar apni career me achi growth kar sakte hai. Har ek govt jobs me, agar government job state wise ya central wise job kar rahe hai to apko usi ke anusar fayde milte hai. Central jobs apko ek acha platform deta hai. Sakari tor par har swidha apko mil jati hai.
Govt Jobs ke Nuksan
Waise to Govt. Jobs ke jyadatar to koi nuksaan apko nahi milta hai. lekin agar dekha jaye to most of the government job me apko ek limitation set ho jati hai apki progress bhi apke time period ke according hi hoti hai. Agar post me promotion bhi chahiye hota hai to uske liye bhi govt ne rule set kiye hote hai ki itne time baad me hi apko promotion milega. usse pahle apko promotion bhi nahi milta hai. Jyada paise bhi nahi hote hai private sector ke mutabik. Govt Jobs karte karte log jyadatar alsi ho jate hai. or apni sehat par bhi jyada dhyaan nahi dete hai. jisse unki health par jyada prabhav padta hai.
Private jobs ke fayde
Private job me apko jaldi result mil jata hai. apke work ke according apka promotion depend hota hai. Agar aap koi bhi private job karte hai to apko starting shayad kam se hoti ho, lekin apko in-future ache paise ke saath apni zindgi me aage badh sakte hai. Private job ke sath aap kabhi bhi Job change ke liye soch sakte hai.
Jyadatar dekha gaya hai private job karne wale person fil milte hai.
Private jobs ke Nuksaan
Private Job ke agar nuksaan dekhein jaye to kafi hai. kynki private job me apko jyada kam karne ki wajah se stress rahta hai. Jab koi candidate apni job ki starting karta hai to usko uski job me utne paise bhi nahi mil paate hai. jyada hard work karna padta hai or jyada stress lene ke wajah se aap mently ill feel bhi karna start kar dete hai.
हमारी कोशिश है कि आप सबसे पहले सबसे सही जानकारी प्रदान कि जायें
No comments: